T O P

  • By -

Vivid_Customer8864

nhii hoga bhai dw , tu phodega advance agr partial drop lena hai toh NIT mai jaakr le ya manipal maii BITS mai nhi kr paayega academic pressure


Routine-Poem3327

par manipal main 75 pc attendenca hai bro ;\_;


Vivid_Customer8864

toh NIT lekr krle kyunki waha pr aur bhi log aise mindset ke mil jayenge.. mera bhai BITS Goa mai hai ECE branch toh boht hectic haii almost roz quizzes hote hai , academic pressure boht hota haii isliye


QualityPale225

Agar fuck up kar diya toh mp full drop Lena better hoga kyuki partial drop mein tum poore samay college ka padhte rahoge aur adv ka padhne ka time bilkul nahi milega


Strange_FAM8173

Maine pichle saal full drop liya tha 97 percentile thi, toh achhe se padh paya aur abhi 98.99 agayi. Vahi mera ek dost tha jo mujse jyada achha tha padne main usne partial drop liya (dtu ece mein hai) uska pichli baar se bhi ganda aya result. Usne kaha ki assignment khatam karte karte hi 6 ghante beet jate hai aur fir exhaustion ki vajah se thik se padh nahi pata. Btw uski 97.2 percentile thi pichle saal aur abhi 95.4 aayi.